Darshko ko prerna milegi film "Shahnshah" se : Awdhesh Mishra
Bhojpuri Films Digital Media (Mumbai) :- Film industry ke khalnayak "Awdhesh Mishra" se bhojpuri films (digital media) se sidhi baat।
Sutra :- Apko film "shahnshah" me kaam karke kaisa laga ?
Awdhesh :- Aap sabhi darsako ko mera pranam. mujhe film me kaam karke bahut achha laga. Sabhi kalakaro ke sath maine kaam kiya hai, lekin is film ko lekar jo utsah maine sabhi kalakaro me dekha vo kafi sarahniy hai.
Sutra :- Aap film "shahnshah" ke liye kya kahna chahenge?
Awdhesh :- Sabse pahle, mai is film ke Nirmata "Rohit K. Singh" ji, "Vivek Rastogi" ji aur Nirdeshk "Anand D. Ghahtraj" ji ka dhanyawad karna chahta hu. Film "Shahnshah" ke liye sabhi ne bahut mehnat kiya hai, lekin is film ke nirmata aur nirdeshk ne bahut lagao ke sath is film ko banaya hai aur kaam kiya. Is film ke madhyam se darsako ko bahut prerna milegi.
Sutra :- Film ke gano ke liye aap kya kahna chahenge?
Awdhesh :- Film ke sabhi gane bahut hi achhe hai, Is film me kariban 9 ya 10 gane hai.
Sutra :- Aap film ke liye darsako se kya kahna chahenge ?
Awdhesh :- Mai apne sabhi darsako se bas yahi gujarish karunga ki, jis tarah unhone meri sabhi filmo ko pasand kiya hai, usi tarah is film ko bhi apna pyar aur ashirwad de.
dhanywad..
Comments
Post a Comment